Is video mein dhabe par bante hue samose ki poori process dikhayi gayi hai. Aap dekhenge ki samose ka masala kaise taiyar kiya jata hai, kaise maide ki patti mein bhar kar use samose ka aakar diya jata hai aur phir kadhai mein tal kar garma garam samose taiyar kiye jate hain.
Video mein samose ka taste test bhi kiya gaya hai aur Banaras, Prayagraj aur Mirzapur kshetra mein samose ki lokpriyata ke baare mein bhi jankari di gayi hai.
Aap comment karke batayein ki aap samosa tamatar sauce ke saath pasand karte hain ya hari chutney ke saath.